Jokes
SEARCH
 
Other Categories
Adult Jokes
Santa Banta [A]
Husband And Wife [A]
Funny Jokes
Thoughts
General
Children
Shayari
Political Jokes
Santa Banta
Banta: Why has the Government fixed voting age 18 years and marriage age 21 years?


Santa: Yeh to bahut aasan sa sawal hai.


Banta [hairan hokar]: To batao jawab..


Santa: Government ko pata hai ki desh sambhalna aasan hai, lekin biwi ko nahi!
 
Sahil Malhotra
Santa ka sawal:


Yeh duniya bhi badi ajeeb hai..


Jab mein chup rehta hoon to woh mujhe 'Bewaqoof' samajhti hai.


Aur Jab bolta hoon.....to unka shaq yakin mein badal jata hai..
 
Sahil Malhotra
Santa Akshay Kumar ki 'Housefull' movie dekhane gaya. Magar dekh nahi saka.


Banta: Oye ! Tu to kitane bar theatre mein gaya tha. Magar movie kyon nahin dekhi ?


Santa: Arre, jab bhi main movie ka ticket nikal ne ja ta to mujhe har bar housefull ka board hi dikhata !
 
Sahil Malhotra
Banta: Arre Santa, tu aaj doctor ke paas janewala tha na.. ?


Santa: Haan yaar, janewala to tha.


Banta: Phir kya hua?


Santa: Aaj meri tabiyat thik nahin hai na..isiliye kal chala jaunga..
 
Sahil Malhotra
Ek baar Santa bahot maar khakar ghar aaya. Banta ne yeh dekha to woh pareshan ho gaya.


Banta: Kya hua, kisane maara tujhe?


Santa: Kya batau, bahot bhookh lagi thi. Paise bachane ke liye ek shaadi mein ghoos gaya.


Banta: Shaadi ki party?


Santa: Haan, andar jaate hi kisine mujhe poocha ki tum kaun ho? To maine jawab de diya ki mein ladki walon ke taraf se hoon.


Banta: To phir kya hua?


Santa: Arre, tab mujhe pata chala ki woh ek birthday party thi!
 
Sahil Malhotra
Santa bahot pareshan tha. Usaki pareshani Banta ko dekhi nahi gayi. Ek din usane puchh hi liya.


Banta: Are, kai dinonse mein dekh raha hoon, tu bada pareshan rehta hai.


Santa: Haan yaar, mera beta roj mujhase 100 Rs maangta hai.


Banta: Lekin woh in rupayon ka karta kya hai?


Santa: Pata nahin! Maine kabhi use paise diye hi nahin!!
 
Sahil Malhotra
Santa ne hair cutting ki dukan kholi. Yeh sunkar Banta shaving karane ke liye Santa ki dukan me gaya.


Santa: Muchh rakhani hai?


Banta: Jee Haan, rakhani hai.


Santa ne Banta ki puri muchh kaat di aur Banta ke hath me rakh di.


Santa: Yeh lo! Sambhal ke leke jao!! Jaha rakhani hai rakh lo!!!
 
Sahil Malhotra
Santa: Main to waqt ke sath apne sare dosto ko bhool gaya tha.


Banta: Oh teri.. phir kya hua?


Santa: Lekin ek film dekhi to sab log phir se yaad aa gaye!


Banta: Kaunsi film?


Santa: Kamine
 
Sahil Malhotra
Ek deen Santa achanak behosh ho jata hain. Usaki bibi usako hospital le jati hai.


Doctor: Arre! Yeh to mar gaya hai!


Yeh sunkar Santa hosh mein aa jata hai.


Santa: Main Jinda hoon!


Bibi: Tum chup raho ji! Itane bade doctor kya jhuth bolenge?!
 
Sahil Malhotra
Santa: Doctor sahab, teen saal pehle mujhe bukhar aaya tha.


Doctor [hairani se]: OK. Abhi wapas bukhar aaya kya?


Santa: Bukhar to abhi theek hai.


Doctor: Phir kya problem hai?


Santa: Tab aapne mujhe nahane ke liye mana kar diya tha.


Doctor: To?


Santa: Ab naha sakata hoon kya?!
 
Sahil Malhotra
1 2 3 4 5 Next 
 

Articles

where is chota nagpur plateau located

10/07/2024

  Location and Geography The Chota Nagpur Plateau is a significant geographical region located in eastern India. Predominantly spread across the state of Jharkhand, it also extends into parts of Odisha, West Bengal, Bihar, and Chhattisgarh. This plateau forms the northeastern part of the Deccan Plateau and is distinguished by its rich mineral resources and diverse landscape. Geological Features The Chota Nagpur Plateau is an ancient landmass composed mainly of Precambrian rocks, which are some of the oldest geological formations on

View All Articles