|
|
Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon,
Main har ek sakhs ke haathon mein kafan dekh raha hoon.
Arre logon khuda hone ka dava na karo,
Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon.
Yeh hawaon mein zahar aur yeh bimaar fiza,
Kal ko jo hona hai Anzaam-e-Chaman dekh raha hoon.
Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro,
Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chalan dekh raha hoon.
Roshni walon andheron mein bhi jeena seekho,
Mein aaftaab ke kadmon mein thakan dekh raha hoon.
|
|
|
|
|
Baadalon ke darmiyan kuchh aisi saazish hui,
Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui,
Usko bhi zid hai bijliyan girane ki,
Aur hamein bhi zid hai wahin aashiyan banane ki.
|
|
|
|
|
Pattharon ko itna na pujo ke woh dewta ho jaye,
Kisi ko itna na chaho ke woh bewafa ho jaye.
|
|
|
|
|
Gile shikwe na dil se laga lena,
Kabhi maan jana to kabhi manaa lena,
Kal ka kya pata hum ho na ho,
Jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena.
|
|
|
|
|
Naam ki kya baat karte ho,
Log chehre tak bhool jate hain.
Tum samander ki baat karte ho,
Log aankhon main doob jate hain.
|
|
|
|
|
Phoolon ki yaad aati hai kaanton ko chhune par,
Rishton ki samajh aati hai faaslon pe rehne par,
Kuchh jazbaat aise bhi hote hain jo ankhon mein padhe nahin jaate,
Woh to nazar aate hain zubaan se kehne par.
|
|
|
|
|
Kaise woh laut aaye ke fursat use nahin,
Duniya samajh rahi hai mohabbat use nahin.
Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah mein,
Kafi dinon se mujh se shikayat use nahin.
Dil ki zameen us ki hai banjar isi liye,
Jazbon ki barishon ki jo aadat use nahin.
|
|
|
|
|
Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta,
Kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho,
Jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai,
Aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho.
|
|
|
|
|
Unki duaon ka hum par asar dekhiye,
Kahan reh gayi thi ye kasar dekhiye.
Hum to nazar aayenge har ishq mein,
Is jahan mein aap apni basar dekhiye.
Bhool baitha hai shayad woh is gaon ko,
Kya hona hai ab haal-e-sahar dekhiye.
Ek baar yun hi sahi rakhne ko dil mera,
Dar par mere zara kabhi thahar dekhiye.
|
|
|
|
|
Ya khuda meri duaon mein itna asar karde,
Khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de.
Dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula,
Nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de.
|
|
|